Hai Na Lyrics — Jaspinder Narula
Find and fill more song details
Na le ke jaao mere dost ka janaaza hai
Na le ke jaao mere dost ka janaaza hai
Abhi to garm hai mitti ye jism taaza hai
Abhi to garm hai mitti ye jism taaza hai
Na le ke jaao mere dost ka janaaza hai
Ulajh gayi hai kahi saans khol do is ki
Labon pe aayi hai jo baat poori karne do
Abhi ummeed bhi jinda hai gam bhi taaza hai
Na le ke jaao mere dost ka janaaza hai
Jagaao is ko gale mil ke alvida to kahu
Ye kaisi ruksati hai ye kya saleeka hai
Ye kaisi ruksati hai ye kya saleeka hai
Abhi to jeene ka har ek zakhm taaza hai
Na le ke jaao mere dost ka janaaza hai
Abhi to garm hai mitti ye jism taaza hai.
SongHai Na
ArtistJaspinder Narula
AlbumKuch Kuch Dil Mein
LanguageHindi
Music labelVenus
Year1999
MusicKennith - Sanjeev
Lyrics byYashwant Budhwani, Mumtaz Nikhat, Dev Kohli, Sanjay Masoomm, Manohar Iyer
Track2