Tum Gaye Sab Gaya (Female) Lyrics — Lata Mangeshkar, Sanjeev Abhyankar
Find and fill more song details
tum gaye sab gaya, tum gaye sab gaya
koi apni hi mitti tale, dab gaya
tum gaye sab gaya, tum gaye sab gaya
koi apni hi mitti tale, dab gaya
tum gaye sab gaya
koi aaya tha, kuch der pahle yaha
leke mitti se, lepa hua aasma
abr par dal kar wo gaya, kab gaya
tum gaye sab gaya, tum gaye sab gaya
hatho pairo me tanhaiya, chalti hai
meri aankho me parchhaiya, chalti hai
ek sailab tha, sara ghar bah gaya
fir bhi jine ka, thoda sa dar rah gaya
jakhm jine ke kyu de gaya, jab gaya
tum gaye sab gaya, tum gaye sab gaya
koi apni hi mitti tale, dab gaya
tum gaye sab gaya, tum gaye sab gaya
SongTum Gaye Sab Gaya (Female)
ArtistLata Mangeshkar, Sanjeev Abhyankar
MovieMaachis
AlbumMaachis
LanguageHindi
Music labelPAN Music
Year1996
MusicVishal Bhardwaj
Lyrics byGulzar
Track2